неділя, 15 листопада 2015 р.

(Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain) Page 2, Aayat 26-50 ...


(Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain)
 
Page 2, Aayat 26-50
 
02.26 Yaqeenan Allah Taalaa kissi misal kay biyan kerney say nahi sharmata khuwa machar ki ho ya iss say bhi halki cheez ki. eman walay to issay apney rab ki janib say sahih samajhtay hain aur kuffaar kehtay hain kay iss misal say Allah Taalaa ney kiya murad li hai? iss kay zariye baishtar ko gumrah kerta hai aur aksar logon ko raah-e-raast per lata hai aur gumrah to sirf fasiqon ko hi kerta hai.
 
02.27 Jo log Allah Taalaa kay mazboot ehad ko tor detay hain aur Allah Taalaa ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai unhen kaattay aur zamin mein fasaad phelatay hain yehi log nuksan uthaney walay hain.
 
02.28 Tum Allah kay sath kaisay kufur kertay ho? Halankay tum murda thay uss ney tumhen zinda kiya phir tumhen maar dalay ga phir zinda keray ga phir ussi ki taraf lotaye jao gay.
 
02.29 Woh Allah jiss ney tumharay liye zamin ki tamam cheezon ko peda kiya phir aasman ki taraf qasad kiya aur unn ko theek thaak saat aasman banaya aur woh her cheez ko janta hai.
 
02.30 Aur jab teray rab ney farishton say kaha kay mein zamin mein khalifa bananey wala hun to unhon ney kaha aisay shaks ko kiyon khalifa peda kerta hai jo zamin mein fasaad keray aur khoon bahaye? Aur hum teri tasbeeh hamd aur pakeezgi biyan kerney wala hain. Allah Taalaa ney farmaya jo mein janta hun tum nahi jantay.
 
02.31 Aur Allah Taalaa ney aadam ko tamam naam sikha ker unn cheezon ko farishton kay samney paish kiya aur farmaya agar tum sachay ho to inn cheezon kay naam batao.
 
02.32 Unn sab ney kaha aey Allah! teri zaat pak hai hum to sirf utna hi ilm hai jitna tu ney humen sikha rakha hai pooray ilm-o-hikmat wala to tu hi hai.
 
02.33 Allah Taalaa ney (hazrat) aadam (alh-e-salam) say farmaya tum inn kay naam bata do. Jab unhon ney bata diye to to farmaya kay kiya mein ney tumhen (pehlay hi) na kaha tha kay zamin aur aasmanon ka ghaib mein hi janta hun aur meray ilm mein hai jo tum zahir ker rahey ho aur jo tum chupatay thay.
 
02.34 Aur jab hum ney farishton say kaha kay aadam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya. Uss ney inkar kiya aur takabbur kiya aur woh kafiron mein hogaya.
 
02.35 Aur hum ney keh diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho aur jahan kahin say chahao ba faraghat khao piyo lekin uss darakht kay qareeb na jana werna zalim hojao gay.
 
02.36 Lekin shetan ney unn ko behka ker wahan say nikwa hi diya aur hum ney keh diya kay utar jao! um aik doosray kay dushman ho aur aik waqt-e-muqarrara tak tumharay liye zamin mein theharna aur faeeda uthana hai.
 
02.37 (hazrat) aadam (alh-e-salam) ney apney rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee be-shak wohi tauba qabool kerney wala aur reham kerney wala hai.
 
02.38 Hum ney kaha tum sab yahan say chalay jao jab kabhi tumharay pass meri hidayat phonchay to uss ki tabey daari kerney walon per koi khof-o-ghum nahi.
 
02.39 Aur jo inkar keren aur meri aayaton ko jhutlayen woh jahannumi hain aur hamesha ussi mein rahey gay.
 
02.40 Aey bani israeel! meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur meray ehad ko poora kero mein tumharay ehad ko poora keroon ga aur mujh say hi daro.
 
02.41 Aur uss kitab per eman lao jo mein ney tumhari kitabon ki tasdeeq mein nazil farmaee hai aur uss kay sath tum hi pehlay kafir na bano aur meri aayaton ko thori thori qeematon per na farokht kero aur sirf mujh hi say daro.
 
02.42 Aur haq ko baatil kay sath khalat malat na kero aur na haq ko chupao tumhen to khud iss ka ilm hai.
 
02.43 Aur namazon ko qaeem kero aur zakat do aur rukoo kerney walon kay sath rukoo kero.
 
02.44 Kiya logon ko bhalaiyon ka hukum kertay ho? Aur khud apney aap ko bhool jatay ho ba wajood yeh kay tum kitab parhtay ho kiya itni bhi tum mein samajh nahi?
 
02.45 Aur sabar aur namaz kay sath madad talab kero yeh cheezen shaaq hain magar darr rakhney walon per.
 
02.46 Jo jantay hain kay be-shak woh apney rab say mulaqat kerney walay aur yaqeenan woh ussi ki taraf lot ker janey walay hain.
 
02.47 Aey aulad-e-yaqoob! Meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur mein ney tumhen tamam jahanon per fazilat di.
 
02.48 Uss din say dartay raho jab koi kissi ko nafa na dey sakay ga aur na hi uss ki babat ki koi sifarish qabool hogi aur na koi badla uss kay ewaz liya jaye ga aur na woh madad kiye jayen gay.
 
02.49 Aur jab hum ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen bad tareen azab detay thay jo tumharay larkon ko maar daltay thay aur tumhari larkiyon ko chor detay thay uss nijat denay mein tumharay rab ki bari meharbani thi.
 
02.50 Aur jab hum ney tumharay liye dariya cheer (phaar) diya aur tumhen uss say paar ker diya aur firaoniyon ko tumhari nazron kay samney uss mein dobo diya.

Немає коментарів:

Дописати коментар